Kyun nahi reh sakti wo apne tareeqe se?
Kyun nahi kuch keh sakti apne saleeqe se?
Kyun beta keh kar bhi usse dete nahi wo vishwas?
Kyun hota hai, beti bananna, ek abhishaap?
Kehte hai ki ladki humara sir
garv se ucha karegi,
Lekin samaj ke naam ki bediyaan
sirf usse neecha karegi,
Kyun nahi karte uske iraado par
vishwas?
Kyun hota hai, beti banna ek
abhishaap?
Ladki ko nibhane hote hai kitne farz,
Kabhi behen to kabhi saheli ka
tarz,
Kyun nahi karte uski taaqat par vishwaas?
Kyun hota hai beti banna ek abhishaap?
Beta kehkar bhi usse bojh ki
tarah maante ho,
Kyun usse ‘He’ aur ‘She’ ka fark
samjhate ho?
Kya yeh duvidha har yug mai
chalti rahegi?
Samaj ki yeh soch, kya kal bhi
palti rahegi?
Kya kabhi nahi kar paoge ek betii
par adigg vishwaas?
Kyu, akhir KYUN hota hai beti
banna ek abhishaap??