IndiWriter

Tuesday 8 January 2013

Beti-Ek Abhishaap?




Kyun nahi reh sakti wo apne tareeqe se?
Kyun nahi kuch keh sakti apne saleeqe se?
Kyun beta keh kar bhi usse dete nahi wo vishwas?
Kyun hota hai, beti bananna, ek abhishaap?

Kehte hai ki ladki humara sir garv se ucha karegi,
Lekin samaj ke naam ki bediyaan sirf usse neecha karegi,
Kyun nahi karte uske iraado par vishwas?
Kyun hota hai, beti banna ek abhishaap?

Ladki ko nibhane hote hai kitne farz,
Kabhi  behen to kabhi saheli ka tarz,
Kyun nahi karte uski taaqat par vishwaas?
Kyun hota hai beti banna ek abhishaap?

Beta kehkar bhi usse bojh ki tarah maante ho,
Kyun usse ‘He’ aur ‘She’ ka fark samjhate ho?
Kya yeh duvidha har yug mai chalti rahegi?
Samaj ki yeh soch, kya kal bhi palti rahegi?

Kya kabhi nahi kar paoge ek betii par adigg vishwaas?
Kyu, akhir KYUN hota hai beti banna ek abhishaap??


5 comments:

  1. Nicely expressed from a girl child's point of view...but i think when one looks from parents point of view may be one can see the concern which sometimes is seen as restriction and bias....
    good work supriya...

    ReplyDelete
  2. Pl remove the word verification from settings ...it really does not achieve anything great

    ReplyDelete
  3. thank you sir...and the settings have been changed :)

    ReplyDelete